Pages

khayal accha lagta hai...

Hoo to khafa us se..per jaanay phir bhe ku....?
Na chaah kar bhe usko chahana,achha lagta hi
Haqeekat se hu doour,ye mughko hai pata
Per jaan kar anjaan rahana achha lagta hai
Aadi nahi mai ronay ka,phir bhe kabhi kabhi
Tanhaaee mai kuch dair , rona achha lagta hai
Tu mera tha, tu mera hai , tu mera rahayga....
Kuch pal is khawaab mai khona accha lagta hai....
Sapnay mai gharodha kabhi bantaa to nahi.
Phir bhe mahal banana humko accha lagta hai...
Aatay hai pass ek pal vo, ahasaah yai ku humko hota hai
jaana hai duurr jb humko,phir bhe yai khayal accha lagta hai......@ Manisha

0 comments:

Post a Comment